Thursday, April 5, 2007

Who's more beautiful?



The creators or the creation.

For all future bioinformaticians

Mohhabatein in coding

Ek Trainee tha anjana sa..........
coding karne se woh darta tha........

Copy paste karke, idhar udhar se..............
pooch ke coding kiya karta tha..............

Choree choree........ chupke chupke..........
discussions mein soya karta tha...

Jab delivery honee hotee thee
raat raat bhar jagta tha...

Kuch aata nahee tha usko............
jane kaise deliver karta tha..............

Jab bhee milta tha kisee doosre developer se,
unse poocha karta tha...

Coding kaisee hotee hai,..................
yeh coding kaisee hotee hai ..............?

Aur voh developers
bas yahee kah paate the.....

"Ankhe khulee ho ya ho band
deedar code ka hota hai...
kaise kahoo mai o yaro yeh code
kaise hota hai.....

tururururururururu ru ru ru ru ru...."

"Kya hai yeh jadoo hai koyee code jo chal jata hai,
fix karke bugs hazaro deliver ho jata hai..."

"Door kahee onsite per hote hai yeh sare faisle,
kaun jane koyee bug kab kaise kaha mile,

jiske naseeb mein ho likha
acceptance useeka hota hai...

kaise kahoon mai o yara yeh code
kaise chalta hai...

tururururururururu ru.......................

by : author

Google